hai asar is tarah dil par ishq ki tasir ka
hai asar is tarah dil par ishq kī tāsīr kā
āj-kal hai haal jaisā vādī-e-kashmīr kā
yuuñ to duniyā kā koī manzar mujhe bhāyā nahīñ
haañ magar shaidā huā huuñ maiñ tirī tasvīr kā
hai mirī duniyā meñ terī ahmiyat kuchh is tarah
martaba hai shā.erī meñ jis tarah se 'mīr' kā
yaad tum aaoge mujh ko merī jaañ ye jaan lo
zikr jab bhī aa.egā merī ġhazal meñ hiir kā
maiñ ne to bas ain likkhā thā lifāfe par magar
jaane kyā samjhā hai matlab us ne is tahrīr kā
tum se milnā aur phir mil kar bichhaḌ jaane kā ġham
faisla shāyad yahī hai kātib-e-taqdīr kā
sher maiñ ne bhī sunā.e ḳhuub 'rāhī' rāt-bhar
zikr chheḌā thā kisī ne bazm meñ jab 'mīr' kā
hai asar is tarah dil par ishq ki tasir ka
aaj-kal hai haal jaisa wadi-e-kashmir ka
yun to duniya ka koi manzar mujhe bhaya nahin
han magar shaida hua hun main teri taswir ka
hai meri duniya mein teri ahmiyat kuchh is tarah
martaba hai shaeri mein jis tarah se 'mir' ka
yaad tum aaoge mujh ko meri jaan ye jaan lo
zikr jab bhi aaega meri ghazal mein hir ka
main ne to bas ain likkha tha lifafe par magar
jaane kya samjha hai matlab us ne is tahrir ka
tum se milna aur phir mil kar bichhaD jaane ka gham
faisla shayad yahi hai katib-e-taqdir ka
sher main ne bhi sunae KHub 'rahi' raat-bhar
zikr chheDa tha kisi ne bazm mein jab 'mir' ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.