hai ayan ru-e-yar aaankhon mein
hai ayaañ rū-e-yār ā.ankhoñ meñ
chhā.ī hai kyā bahār ā.ankhoñ meñ
sho.ale uThte haiñ baar baar ajiib
kaun hai sham.a-vār ā.ankhoñ meñ
kaun hai shahsavār-e-tausan-e-husn
jis kā hai ye ġhubār ā.ankhoñ meñ
kaisī mai tū ne dī pilā mujh ko
ab talak hai ḳhumār ā.ankhoñ meñ
dil hai bulbul sifat ba-nāla-o-āh
kaun hai gul-ezār ā.ankhoñ meñ
shauq meñ kis kī hai nikal aayā
dil-e-pur-iztirār ā.ankhoñ meñ
ubal aatā hai kis kī shauq meñ aah
ḳhūn-e-dil baar baar ā.ankhoñ meñ
har taraf hai ayaañ ruḳh-e-dil-dār
hai ḳhizāñ nau-bahār ā.ankhoñ meñ
faiz-e-ḳhādim-safī se hai 'āsim'
jalva-gar husn-e-yār ā.ankhoñ meñ
hai ayan ru-e-yar aaankhon mein
chhai hai kya bahaar aaankhon mein
shoale uThte hain bar bar ajib
kaun hai shama-war aaankhon mein
kaun hai shahsawar-e-tausan-e-husn
jis ka hai ye ghubar aaankhon mein
kaisi mai tu ne di pila mujh ko
ab talak hai KHumar aaankhon mein
dil hai bulbul sifat ba-nala-o-ah
kaun hai gul-ezar aaankhon mein
shauq mein kis ki hai nikal aaya
dil-e-pur-iztirar aaankhon mein
ubal aata hai kis ki shauq mein aah
KHun-e-dil bar bar aaankhon mein
har taraf hai ayan ruKH-e-dil-dar
hai KHizan nau-bahaar aaankhon mein
faiz-e-KHadim-safi se hai 'asim'
jalwa-gar husn-e-yar aaankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.