hai baal-o-par mein wahshat si be-samt uDanen bharti hun
hai bāl-o-par meñ vahshat sī be-samt uḌāneñ bhartī huuñ
apne andar ke jañgal meñ gum ho jaane se Dartī huuñ
phir aas kā dariyā bahtā hai phir sabza ug ug aatā hai
phir dhuup kināre baiThī maiñ ik ḳhvāb kī chhāgal bhartī huuñ
kyoñ aag dahaktī hai mujh meñ kyoñ bārish hotī hai mujh meñ
jab dhyān se miltī huuñ tere jab tere man meñ utartī huuñ
kab mujh ko rihā.ī miltī thī nāhaq jo qafas bhī toḌ diyā
baj uThtī haiñ zanjīreñ sī maiñ paañv jahāñ bhī dhartī huuñ
ik phuul kī patī kā bistar ik os ke motī kā takiya
titlī ke paroñ ko oḌh ke maiñ ḳhvāboñ meñ aan Thahartī huuñ
dil ġham se rihā.ī chāhtā hai aur vo bhī jiite jī sāhab
phir tujh meñ panah le letī huuñ phir ḳhud se kināra kartī huuñ
haiñ naag kā phan kaalī rāteñ lamha lamha Dastī jāveñ
sau baar taḌaptī huuñ sāhab sau baar maiñ jiitī martī huuñ
hai baal-o-par mein wahshat si be-samt uDanen bharti hun
apne andar ke jangal mein gum ho jaane se Darti hun
phir aas ka dariya bahta hai phir sabza ug ug aata hai
phir dhup kinare baiThi main ek KHwab ki chhagal bharti hun
kyon aag dahakti hai mujh mein kyon barish hoti hai mujh mein
jab dhyan se milti hun tere jab tere man mein utarti hun
kab mujh ko rihai milti thi nahaq jo qafas bhi toD diya
baj uThti hain zanjiren si main panw jahan bhi dharti hun
ek phul ki pati ka bistar ek os ke moti ka takiya
titli ke paron ko oDh ke main KHwabon mein aan Thaharti hun
dil gham se rihai chahta hai aur wo bhi jite ji sahab
phir tujh mein panah le leti hun phir KHud se kinara karti hun
hain nag ka phan kali raaten lamha lamha Dasti jawen
sau bar taDapti hun sahab sau bar main jiti marti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.