hai barabar use mila na mila
hai barābar use milā na milā
jis ko jiine kā hausla na milā
aaheñ ghuT ghuT ke ban ga.iiñ aañsū
jab nikalne ko rāsta na milā
yuuñ to jiine ko jī rahe haiñ ham
zindagī kā magar maza na milā
ḳhuun ho kar bahā phir āñkhoñ se
dil ko jab koī aasrā na milā
un ko DhūñDūñ to kis umiid pe ab
mujh ko apnā hī jab pata na milā
zindagī se umiid kyā rakkhūñ
maut kā bhī to aasrā na milā
bul-havas ne kiye hazār jatan
phir bhī qismat se kuchh sivā na milā
kaun mushkil thā un kā vasl magar
dil hī qismat se kaam kā na milā
un kā ġham to nasīb hai mujh ko
aish kā kyā milā milā na milā
kī bahut justujū magar 'sāhir'
koī bhī dard-āshnā na milā
hai barabar use mila na mila
jis ko jine ka hausla na mila
aahen ghuT ghuT ke ban gain aansu
jab nikalne ko rasta na mila
yun to jine ko ji rahe hain hum
zindagi ka magar maza na mila
KHun ho kar baha phir aankhon se
dil ko jab koi aasra na mila
un ko DhunDun to kis umid pe ab
mujh ko apna hi jab pata na mila
zindagi se umid kya rakkhun
maut ka bhi to aasra na mila
bul-hawas ne kiye hazar jatan
phir bhi qismat se kuchh siwa na mila
kaun mushkil tha un ka wasl magar
dil hi qismat se kaam ka na mila
un ka gham to nasib hai mujh ko
aish ka kya mila mila na mila
ki bahut justuju magar 'sahir'
koi bhi dard-ashna na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.