hai bhi kuchh ya ki samak ta-ba-sama kuchh bhi nahin
hai bhī kuchh yā ki samak tā-ba-samā kuchh bhī nahīñ
pūchhā jab jab to yahī aa.ī sadā kuchh bhī nahīñ
zindagī laa.ī hai us dasht meñ mujh ko ki jahāñ
rāh-rau rāhguzar rāh-numā kuchh bhī nahīñ
jaane kyoñ aap udhar apne qadam jaate haiñ
ki jidhar ghor añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ
ik qayāmat hai mire jurm se terā iġhmāz
aah ye kaisī sazā hai ki sazā kuchh bhī nahīñ
dekhiye to sahī kis vaqt zabāñ ham ko milī
jab ki kahne ke liye dil meñ rahā kuchh bhī nahīñ
hai bhi kuchh ya ki samak ta-ba-sama kuchh bhi nahin
puchha jab jab to yahi aai sada kuchh bhi nahin
zindagi lai hai us dasht mein mujh ko ki jahan
rah-rau rahguzar rah-numa kuchh bhi nahin
jaane kyon aap udhar apne qadam jate hain
ki jidhar ghor andhere ke siwa kuchh bhi nahin
ek qayamat hai mere jurm se tera ighmaz
aah ye kaisi saza hai ki saza kuchh bhi nahin
dekhiye to sahi kis waqt zaban hum ko mili
jab ki kahne ke liye dil mein raha kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.