hai dard ke intisab sa kuchh
hai dard ke intisāb sā kuchh
vo yaad āñgan meñ ḳhvāb sā kuchh
vo ārzūeñ vo tishna-kāmī
had-e-nigah tak sarāb sā kuchh
vo hijratoñ ke udaas mausam
safar safar iztirāb sā kuchh
har ik ta.alluq shikast-mā.il
ravish ravish inqilāb sā kuchh
vo mish.al-e-jāñ bujhī bujhī sī
koī bikharte gulāb sā kuchh
vo phuul hāthoñ meñ sañg-pāre
vo ek paisa hisāb sā kuchh
vo us ke dil meñ savāl jaisā
mire laboñ pe javāb sā kuchh
bas ek hālat meñ hī milā vo
garhan meñ āftāb sā kuchh
hai dard ke intisab sa kuchh
wo yaad aangan mein KHwab sa kuchh
wo aarzuen wo tishna-kaami
had-e-nigah tak sarab sa kuchh
wo hijraton ke udas mausam
safar safar iztirab sa kuchh
har ek talluq shikast-mail
rawish rawish inqilab sa kuchh
wo mishal-e-jaan bujhi bujhi si
koi bikharte gulab sa kuchh
wo phul hathon mein sang-pare
wo ek paisa hisab sa kuchh
wo us ke dil mein sawal jaisa
mere labon pe jawab sa kuchh
bas ek haalat mein hi mila wo
garhan mein aaftab sa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.