hai dard kitna ye bas ham-KHayal puchhega
hai dard kitnā ye bas ham-ḳhayāl pūchhegā
vagarna husn to apnā jamāl pūchhegā
sitam ye kam hai ki vo sāmne hai nazroñ ke
ab ek aur sitam dekho haal pūchhegā
usuul qā’eda jazbāt 'ishq kī bāteñ
mire nisāb se bāhar savāl pūchhegā
laboñ se baat agar dil kī ho to achchhā hai
yūñhī tū āñkhoñ se kab tak savāl pūchhegā
kuchh aur pūchhe na pūchhe koī malāl nahīñ
malāl hogā agar indimāl pūchhegā
hai dard kitna ye bas ham-KHayal puchhega
wagarna husn to apna jamal puchhega
sitam ye kam hai ki wo samne hai nazron ke
ab ek aur sitam dekho haal puchhega
usul qa’eda jazbaat 'ishq ki baaten
mere nisab se bahar sawal puchhega
labon se baat agar dil ki ho to achchha hai
yunhi tu aankhon se kab tak sawal puchhega
kuchh aur puchhe na puchhe koi malal nahin
malal hoga agar indimal puchhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.