hai dil mein ehsas-e-dard ab tak agarche diwana ho gaya hun
hai dil mein ehsas-e-dard ab tak agarche diwana ho gaya hun
Jameel Mazhari
MORE BYJameel Mazhari
hai dil meñ ehsās-e-dard ab tak agarche dīvāna ho gayā huuñ
jahāñ ḳhudī hai na be-ḳhudī hai ik aisī duniyā meñ kho gayā huuñ
havā muāfiq bhī ho azīzo to us kināre se duur rahnā
maiñ bārhā aa ke us kināre pe apnī kashtī Dubo gayā huuñ
yahī to anjām-e-justujū hai ki Thokareñ khā ke but-kadoñ kī
jabīn-e-rusvā ko rakh ke apnī haram kī chaukhaT pe so gayā huuñ
ye nāz-parvardagān-e-fitrat mirī asīrī ko ḳhaak samjheñ
milā hai kuchh iḳhtiyār jab se maiñ aur majbūr ho gayā huuñ
jo qāfila is taraf se guzre vo ek Thokar mujhe lagā de
'jamīl' maiñ biich rāste meñ isī bharose pa so gayā huuñ
hai dil mein ehsas-e-dard ab tak agarche diwana ho gaya hun
jahan KHudi hai na be-KHudi hai ek aisi duniya mein kho gaya hun
hawa muafiq bhi ho azizo to us kinare se dur rahna
main barha aa ke us kinare pe apni kashti Dubo gaya hun
yahi to anjam-e-justuju hai ki Thokaren kha ke but-kadon ki
jabin-e-ruswa ko rakh ke apni haram ki chaukhaT pe so gaya hun
ye naz-parwardagan-e-fitrat meri asiri ko KHak samjhen
mila hai kuchh iKHtiyar jab se main aur majbur ho gaya hun
jo qafila is taraf se guzre wo ek Thokar mujhe laga de
'jamil' main bich raste mein isi bharose pa so gaya hun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 316)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.