hai dil mein ek baat jise dar-ba-dar kahen
hai dil meñ ek baat jise dar-ba-dar kaheñ
har chand us meñ jaan bhī jaa.e magar kaheñ
mashshāt-gān-e-kākul-e-sham.a-ḳhayāl sab
kis ko harīf-e-jalva-e-barq-e-nazar kaheñ
parchhā.iyāñ bhī chhoḌ ga.iiñ be-kasī meñ saath
ab ai shab-e-hayāt kise ham-safar kaheñ
phaile ġhubār-e-rang-e-darūñ to savād-e-shām
phūTe lahū to mauj-e-ḳhirām-e-sahar kaheñ
juz harf-e-shauq kis ko kaheñ gulshan-e-samā
juz naqsh-e-nāz kis ko nashīd-e-nazar kaheñ
Toko unheñ na laġhzish-e-guftār dekh kar
ye log vo haiñ jin ko ḳhudā-e-hunar kaheñ
'urfī' gadā-e-shahr kī sūrat agar mile
iqlīm-e-shā.irī kā use tājvar kaheñ
hai dil mein ek baat jise dar-ba-dar kahen
har chand us mein jaan bhi jae magar kahen
mashshat-gan-e-kakul-e-shama-KHayal sab
kis ko harif-e-jalwa-e-barq-e-nazar kahen
parchhaiyan bhi chhoD gain be-kasi mein sath
ab ai shab-e-hayat kise ham-safar kahen
phaile ghubar-e-rang-e-darun to sawad-e-sham
phuTe lahu to mauj-e-KHiram-e-sahar kahen
juz harf-e-shauq kis ko kahen gulshan-e-sama
juz naqsh-e-naz kis ko nashid-e-nazar kahen
Toko unhen na laghzish-e-guftar dekh kar
ye log wo hain jin ko KHuda-e-hunar kahen
'urfi' gada-e-shahr ki surat agar mile
iqlim-e-shairi ka use tajwar kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.