hai dil mein junun-KHez parastish ka irada
hai dil meñ junūñ-ḳhez parastish kā irāda
aise meñ munāsib nahīñ ranjish kā irāda
jalne ko hai tayyār matā-e-dil-o-jāñ phir
afsos magar sard hai ātish kā irāda
miTTī kā gharauñdā baḌī mushkil se banā hai
ai kaash badal de koī bārish kā irāda
yuuñ khul ke sar-e-ām na mil mujh se mire dost
duniyā meñ hai zinda abhī sāzish kā irāda
kashkol mohabbat kī talab phir bhaḌak uTThī
dekhā jo ba-zid us meñ navāzish kā irāda
us ne baḌā mohtāt ravayya rakhā phir bhī
lahje se jhalaktā rahā ḳhvāhish kā irāda
us dil kā ilāqa sahī mere liye mamnūa
badlā na ba-har-hāl rihā.ish kā irāda
hai ma.arka-ārā jo 'ḳhayāl' aaj ba-zāhir
rakhtā hai pas-e-taish guzārish kā irāda
hai dil mein junun-KHez parastish ka irada
aise mein munasib nahin ranjish ka irada
jalne ko hai tayyar mata-e-dil-o-jaan phir
afsos magar sard hai aatish ka irada
miTTi ka gharaunda baDi mushkil se bana hai
ai kash badal de koi barish ka irada
yun khul ke sar-e-am na mil mujh se mere dost
duniya mein hai zinda abhi sazish ka irada
kashkol mohabbat ki talab phir bhaDak uTThi
dekha jo ba-zid us mein nawazish ka irada
us ne baDa mohtat rawayya rakha phir bhi
lahje se jhalakta raha KHwahish ka irada
us dil ka ilaqa sahi mere liye mamnua
badla na ba-har-haal rihaish ka irada
hai marka-ara jo 'KHayal' aaj ba-zahir
rakhta hai pas-e-taish guzarish ka irada
- Book : Tujhe ky Maloom (Pg. 25)
- Author : Rafique Khayaal
- Publication : Alhamd Publications (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.