hai do-roza qayam-e-sara-e-fana na bahut ki KHushi hai na kam ka gila
hai do-roza qayam-e-sara-e-fana na bahut ki KHushi hai na kam ka gila
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
hai do-roza qayām-e-sarā-e-fanā na bahut kī ḳhushī hai na kam kā gila
ye kahāñ kā fasāna-e-sūd-o-ziyāñ jo gayā vo gayā jo milā vo milā
na bahār jamī na ḳhizāñ hī rahī kisī ahl-e-nazar ne ye ḳhuub kahī
ye karishma-e-shān-e-zahūr haiñ sab kabhī ḳhaak uḌī kabhī phuul khilā
nahīñ rakhtā maiñ ḳhvāhish-e-‘aish-o-tarab yahī sāqī-e-dahr se bas hai talab
mujhe tā’at-e-haq kā chakhā de maza na kabāb khilā na sharāb pilā
hai fuzūl ye qissa-e-zaid-o-bakar har ik apne 'amal kā chakhegā samar
kaho zehn se fursat-e-‘umr hai kam jo dilā to ḳhudā hī kī yaad dilā
hai do-roza qayam-e-sara-e-fana na bahut ki KHushi hai na kam ka gila
ye kahan ka fasana-e-sud-o-ziyan jo gaya wo gaya jo mila wo mila
na bahaar jami na KHizan hi rahi kisi ahl-e-nazar ne ye KHub kahi
ye karishma-e-shan-e-zahur hain sab kabhi KHak uDi kabhi phul khila
nahin rakhta main KHwahish-e-‘aish-o-tarab yahi saqi-e-dahr se bas hai talab
mujhe ta’at-e-haq ka chakha de maza na kabab khila na sharab pila
hai fuzul ye qissa-e-zaid-o-bakar har ek apne 'amal ka chakhega samar
kaho zehn se fursat-e-‘umr hai kam jo dila to KHuda hi ki yaad dila
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 85)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.