hai dua honTon pe aur hain KHwahishen hathon ke bich
hai du'ā hoñToñ pe aur haiñ ḳhvāhisheñ hāthoñ ke biich
kaam duniyā ke nikalte haiñ munājātoñ ke biich
sard nīñdoñ kī musalsal gir rahī haiñ pattiyāñ
kuchh safed aur kuchh siyah se ḳhvāb haiñ rātoñ ke biich
lamha lamha paḌtī rahtī hai diloñ meñ ik girah
tevrī ik chal rahī hai raat din māthoñ ke biich
dekhtī hai ġhaur se har shai ko vo bīmār aañkh
ek gahrā zard ashk hai us kī sab bātoñ ke biich
jab se nikle haiñ diloñ ke kaam meñ ghāTe bahut
ham hisāb-e-dostāñ likhte haiñ ab khātoñ ke biich
ab to uThtā jā rahā hai mausamoñ se e'tibār
dil kisī sahrā meñ hai aur jism barsātoñ ke biich
mujh ko 'shāhīñ' dukh bahut detī hai us kī ye adā
jaise vo hotā nahīñ mil kar mulāqātoñ ke biich
hai du'a honTon pe aur hain KHwahishen hathon ke bich
kaam duniya ke nikalte hain munajaton ke bich
sard nindon ki musalsal gir rahi hain pattiyan
kuchh safed aur kuchh siyah se KHwab hain raaton ke bich
lamha lamha paDti rahti hai dilon mein ek girah
tewri ek chal rahi hai raat din mathon ke bich
dekhti hai ghaur se har shai ko wo bimar aankh
ek gahra zard ashk hai us ki sab baaton ke bich
jab se nikle hain dilon ke kaam mein ghaTe bahut
hum hisab-e-dostan likhte hain ab khaton ke bich
ab to uThta ja raha hai mausamon se e'tibar
dil kisi sahra mein hai aur jism barsaton ke bich
mujh ko 'shahin' dukh bahut deti hai us ki ye ada
jaise wo hota nahin mil kar mulaqaton ke bich
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 256)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.