hai ghalat gar ishq hai yari ka nam
hai ġhalat gar ishq hai yaarī kā naam
āshiqī hai dil kī bīmārī kā naam
un ko bhī mujh se mohabbat hai bahut
gar mohabbat hai dil-āzārī kā naam
bach ke chalnā is payambar-gāh meñ
shaiḳh hai iblīs-e-bāzārī kā naam
ham ko jis har-dil-azīzī par thā naaz
thā hamārī hī subuk-sārī kā naam
duur hī 'nāyāb' yāroñ se raho
āj-kal yaarī hai ayyārī kā naam
hai ghalat gar ishq hai yari ka nam
aashiqi hai dil ki bimari ka nam
un ko bhi mujh se mohabbat hai bahut
gar mohabbat hai dil-azari ka nam
bach ke chalna is payambar-gah mein
shaiKH hai iblis-e-bazari ka nam
hum ko jis har-dil-azizi par tha naz
tha hamari hi subuk-sari ka nam
dur hi 'nayab' yaron se raho
aaj-kal yari hai ayyari ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.