hai gham ki dhup kaDi thoDi dur sath chalo
hai ġham kī dhuup kaḌī thoḌī duur saath chalo
ki do qadam hī sahī thoḌī duur saath chalo
kabhī na ḳhatm hoñ kahtā hai kaun ye duurī
kaThin safar hī sahī thoḌī duur saath chalo
chalo ki dāman-e-dil meñ sameT leñ yādeñ
nigāh dhuñdlī sahī thoḌī duur saath chalo
rivāyatoñ ke añdheroñ meñ bhaTkeñ kab tak ham
dishā.eñ DhūñDeñ na.ī thoḌī duur saath chalo
chalo 'shafīq' ke sajda hī kar leñ nazroñ kā
phir āñkheñ nam hī sahī thoḌī duur saath chalo
hai gham ki dhup kaDi thoDi dur sath chalo
ki do qadam hi sahi thoDi dur sath chalo
kabhi na KHatm hon kahta hai kaun ye duri
kaThin safar hi sahi thoDi dur sath chalo
chalo ki daman-e-dil mein sameT len yaaden
nigah dhundli sahi thoDi dur sath chalo
riwayaton ke andheron mein bhaTken kab tak hum
dishaen DhunDen nai thoDi dur sath chalo
chalo 'shafiq' ke sajda hi kar len nazron ka
phir aankhen nam hi sahi thoDi dur sath chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.