hai garm intiKHab ka bazar dekhna
hai garm intiḳhāb kā bāzār dekhnā
ahl-e-havas ke bikne kī raftār dekhnā
hoñge sitam ke hāthoñ giraftār be-gunāh
tauhīn-e-adl bar-sar-e-darbār dekhnā
tārīḳh apne ḳhuun se likkheñge phir hamīñ
paidā hue haiñ phir vahī āsār dekhnā
mere vatan kī aan pe aane na degā aañch
koī to hogā sāhib-e-kirdār dekhnā
dikhlā.egā ye vaqt karishme na.e na.e
insān ko parakhne kā me.aar dekhnā
ham chāhte haiñ bazm meñ aisī jagah mile
mumkin ho terī samt lagātār dekhnā
haq baat kah ga.ī hai bharī bazm meñ 'ġhazal'
is daur meñ ye jur.at-e-iz.hār dekhnā
hai garm intiKHab ka bazar dekhna
ahl-e-hawas ke bikne ki raftar dekhna
honge sitam ke hathon giraftar be-gunah
tauhin-e-adl bar-sar-e-darbar dekhna
tariKH apne KHun se likkhenge phir hamin
paida hue hain phir wahi aasar dekhna
mere watan ki aan pe aane na dega aanch
koi to hoga sahib-e-kirdar dekhna
dikhlaega ye waqt karishme nae nae
insan ko parakhne ka mear dekhna
hum chahte hain bazm mein aisi jagah mile
mumkin ho teri samt lagatar dekhna
haq baat kah gai hai bhari bazm mein 'ghazal'
is daur mein ye jurat-e-izhaar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.