hai ghazal mein jo meri midhat-e-ruKHsar bahut
hai ġhazal meñ jo mirī mid.hat-e-ruḳhsār bahut
apnā matla' bhī huā matla'-e-anvār bahut
husn vaale na hoñ kyoñ dil ke talabgār bahut
jins achchhī ho to milte haiñ ḳharīdār bahut
naqd-e-jāñ tak liye aate haiñ ḳharīdār bahut
auj par husn kī hai garmī-e-bāzār bahut
kyoñ na mas.hūr kare sehr-bayānī un kī
phuul jhaḌte haiñ dahan se dam-e-guftār bahut
aap apnā koī vā'da to vafā karte nahīñ
mujh se ulfat kā liyā karte haiñ iqrār bahut
farsh-o-bālīñ kā ye sāmān kahāñ se laa.eñ
vahshiyoñ ke liye hai sāya-e-dīvār bahut
manzil-e-ishq-o-mohabbat hai nihāyat dushvār
Thokareñ khāte haiñ is raah meñ hushiyār bahut
vasl kī baat tavajjoh se vo sunte hī nahīñ
un kā iqrār hai kam aur hai inkār bahut
dāman un kā kabhī ālūda-e-isyāñ na huā
phir bhī nādim rahe nā-karda gunahgār bahut
hai ghazal mein jo meri midhat-e-ruKHsar bahut
apna matla' bhi hua matla'-e-anwar bahut
husn wale na hon kyon dil ke talabgar bahut
jins achchhi ho to milte hain KHaridar bahut
naqd-e-jaan tak liye aate hain KHaridar bahut
auj par husn ki hai garmi-e-bazar bahut
kyon na mashur kare sehr-bayani un ki
phul jhaDte hain dahan se dam-e-guftar bahut
aap apna koi wa'da to wafa karte nahin
mujh se ulfat ka liya karte hain iqrar bahut
farsh-o-baalin ka ye saman kahan se laen
wahshiyon ke liye hai saya-e-diwar bahut
manzil-e-ishq-o-mohabbat hai nihayat dushwar
Thokaren khate hain is rah mein hushiyar bahut
wasl ki baat tawajjoh se wo sunte hi nahin
un ka iqrar hai kam aur hai inkar bahut
daman un ka kabhi aaluda-e-isyan na hua
phir bhi nadim rahe na-karda gunahgar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.