hai gila apni jagah aur aashiqi apni jagah
hai gila apnī jagah aur āshiqī apnī jagah
dard-e-dil ke saath milne kī ḳhushī apnī jagah
vasl ho yā hijr ho kuchh hosh rahtā hai kahāñ
lazzateñ apnī jagah haiñ be-ḳhudī apnī jagah
ruuTh kar siine se lagne vaale ne mujh se kahā
pyaar hai apnī jagah aur be-ruḳhī apnī jagah
umr jab tak mehrbāñ hai khul ke jiinā chāhiye
maut hai apnī jagah aur zindagī apnī jagah
merī ġhazloñ pe muqarrar kahte haiñ saare adū
dushmanī apnī jagah hai shā.irī apnī jagah
hai gila apni jagah aur aashiqi apni jagah
dard-e-dil ke sath milne ki KHushi apni jagah
wasl ho ya hijr ho kuchh hosh rahta hai kahan
lazzaten apni jagah hain be-KHudi apni jagah
ruTh kar sine se lagne wale ne mujh se kaha
pyar hai apni jagah aur be-ruKHi apni jagah
umr jab tak mehrban hai khul ke jina chahiye
maut hai apni jagah aur zindagi apni jagah
meri ghazlon pe muqarrar kahte hain sare adu
dushmani apni jagah hai shairi apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.