hai haqiqat ek lekin kitne afsane bane
hai haqīqat ek lekin kitne afsāne bane
saiñkaḌoñ ka.abe bane lākhoñ sanam-ḳhāne bane
ġham rahā sāġhar bane pur-kaif paimāne bane
ham se hī ai muġhbachoñ maiḳhāne maiḳhāne bane
ibtidā ye thī ki ham banñe chale the hosh-mand
intihā ye hai ki bante bante dīvāne bane
baat hai dar-asl ye sab apne apne zarf kī
jab na kuchh yāroñ se ban aa.ī to dīvāne bane
kuchh na kah qāsid diyā us sang-dil ne kyā javāb
apnī jān-e-nā-tavāñ par kyā ḳhudā jaane bane
un kī hī ism-e-girāmī kā faqat charchā nahīñ
kuchh hamāre naam naamī se bhī afsāne bane
chehra-e-gul-gūn-e-sāqī se jo Tapkī mai banī
mast āñkhoñ se jo nikle Dhal ke paimāne bane
ruḳh ke shaidā chāñd taare zulf par rāteñ nisār
tere bhī ai sham.a-e-ḳhūbī kitne parvāne bane
ḳhuub chal niklī hai qais-o-kohkan kī dāstāñ
aql vaale bhī jise sun sun ke dīvāne bane
phuul gulshan meñ rahe ban kar sharāb-e-rang-o-bū
mai-kade meñ jab yahī pahuñche to paimāne bane
pūchhte haiñ kis tajāhul se ki ye 'muslim' hai kaun
uf re ham shahr-e-butāñ meñ aise begāne bane
hai haqiqat ek lekin kitne afsane bane
sainkaDon kabe bane lakhon sanam-KHane bane
gham raha saghar bane pur-kaif paimane bane
hum se hi ai mughbachon maiKHane maiKHane bane
ibtida ye thi ki hum banne chale the hosh-mand
intiha ye hai ki bante bante diwane bane
baat hai dar-asl ye sab apne apne zarf ki
jab na kuchh yaron se ban aai to diwane bane
kuchh na kah qasid diya us sang-dil ne kya jawab
apni jaan-e-na-tawan par kya KHuda jaane bane
un ki hi ism-e-girami ka faqat charcha nahin
kuchh hamare nam nami se bhi afsane bane
chehra-e-gul-gun-e-saqi se jo Tapki mai bani
mast aankhon se jo nikle Dhal ke paimane bane
ruKH ke shaida chand tare zulf par raaten nisar
tere bhi ai shama-e-KHubi kitne parwane bane
KHub chal nikli hai qais-o-kohkan ki dastan
aql wale bhi jise sun sun ke diwane bane
phul gulshan mein rahe ban kar sharab-e-rang-o-bu
mai-kade mein jab yahi pahunche to paimane bane
puchhte hain kis tajahul se ki ye 'muslim' hai kaun
uf re hum shahr-e-butan mein aise begane bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.