hai hawaon ke hathon ghubar aadmi
hai havāoñ ke hāthoñ ġhubār aadmī
dast-e-qudrat kā ye shāhkār aadmī
hasratoñ kā ye zinda mazār aadmī
bebasī kā khulā ishtihār aadmī
jo jahāñ hai akelā akelā sā hai
ek ho yā hazāroñ hazār aadmī
har qadam ek bikhrāv chāroñ taraf
bāhar andar tamām intishār aadmī
chaar din jaise baḌhtā huā sā nasha
phir utartā huā sā ḳhumār aadmī
kis ko iḳhlās kā koī paikar kahe
jo milā apne matlab kā yaar aadmī
saarī duniyā kā parvardigār aur hai
apnī ḳhvāhish kā parvardigār aadmī
apnī duniyā se begāna begāna sā
hai havāoñ ke rath par savār aadmī
be-libāsī libāsoñ meñ paidā kare
kyā ravish kar gayā iḳhtiyār aadmī
chāhe jitnā ho jaisā bhī dukh ho sahe
apne hāthoñ na ho sangsār aadmī
aise kirdār 'shādāb' ab haiñ kahāñ
dekh paa.e jinheñ ār-pār aadmī
hai hawaon ke hathon ghubar aadmi
dast-e-qudrat ka ye shahkar aadmi
hasraton ka ye zinda mazar aadmi
bebasi ka khula ishtihaar aadmi
jo jahan hai akela akela sa hai
ek ho ya hazaron hazar aadmi
har qadam ek bikhraw chaaron taraf
bahar andar tamam intishaar aadmi
chaar din jaise baDhta hua sa nasha
phir utarta hua sa KHumar aadmi
kis ko iKHlas ka koi paikar kahe
jo mila apne matlab ka yar aadmi
sari duniya ka parwardigar aur hai
apni KHwahish ka parwardigar aadmi
apni duniya se begana begana sa
hai hawaon ke rath par sawar aadmi
be-libasi libason mein paida kare
kya rawish kar gaya iKHtiyar aadmi
chahe jitna ho jaisa bhi dukh ho sahe
apne hathon na ho sangsar aadmi
aise kirdar 'shadab' ab hain kahan
dekh pae jinhen aar-par aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.