hai husn ka eajaz ki eajaz-e-nazar kya
hai husn kā e.ajāz ki e.ajāz-e-nazar kyā
āñkhoñ meñ haiñ poshīda tire la.al-o-gohar kyā
ashkoñ ke sitāre kajī yādoñ ke sharar haiñ
ab un ke sivā aur nahīñ shām-o-sahar kyā
phir arsa-e-mahtāb hai shab-ḳhūñ kī kahānī
kirnoñ kī sināneñ haiñ ki haiñ tār-e-jigar kyā
ye raat ye mahtāb ye ḳhushbū ye tarannum
aks-e-ġham-e-jānāñ bhī hai taskīn asar kyā
ham kis se kaheñ qissa-e-mahrūmī-e-bulbul
dushman hai gulistān hī saarā gul-e-tar kyā
jis dard kā dāman tirī palkoñ se bañdhā ho
us dard kī ho saktī hai tadbīr digar kyā
har marhala-e-saḳht mire shauq kī manzil
manzil pe pahuñchnā hai ḳhatar kyā hai hazar kyā
phir dil pe barastī hai tire pyaar kī shabnam
ab ḳhauf-e-bad-andeshī-e-ḳhurshed-e-sahar kyā
ik dhuñd sī chhā.ī hai sar-e-jāda-e-ummīd
har gaam pe lā.eñge na.ī sham-e-nazar kyā
tajdīd-e-tamannā bhī hai vāmāndagi-e-shauq
phir qāfila luTtā hai sar-e-rāhguzar kyā
mahfil meñ ye kaun aayā ki bujhne lagīñ sham.eñ
lo shaam se paidā hue āsār-e-sahar kyā
hai husn ka eajaz ki eajaz-e-nazar kya
aankhon mein hain poshida tere lal-o-gohar kya
ashkon ke sitare kaji yaadon ke sharar hain
ab un ke siwa aur nahin sham-o-sahar kya
phir arsa-e-mahtab hai shab-KHun ki kahani
kirnon ki sinanen hain ki hain tar-e-jigar kya
ye raat ye mahtab ye KHushbu ye tarannum
aks-e-gham-e-jaanan bhi hai taskin asar kya
hum kis se kahen qissa-e-mahrumi-e-bulbul
dushman hai gulistan hi sara gul-e-tar kya
jis dard ka daman teri palkon se bandha ho
us dard ki ho sakti hai tadbir digar kya
har marhala-e-saKHt mere shauq ki manzil
manzil pe pahunchna hai KHatar kya hai hazar kya
phir dil pe barasti hai tere pyar ki shabnam
ab KHauf-e-bad-andeshi-e-KHurshed-e-sahar kya
ek dhund si chhai hai sar-e-jada-e-ummid
har gam pe laenge nai sham-e-nazar kya
tajdid-e-tamanna bhi hai wamandagi-e-shauq
phir qafila luTta hai sar-e-rahguzar kya
mahfil mein ye kaun aaya ki bujhne lagin shamen
lo sham se paida hue aasar-e-sahar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.