hai husn sau hijab-e-farozan liye hue
hai husn sau hijāb-e-farozāñ liye hue
kyā dekhe koī dīda-e-hairāñ liye hue
lutf-e-qubūl-e-husn kā armāñ liye hue
hāzir haiñ ham matā-e-dil-o-jāñ liye hue
dām-e-qafas kā dosh pe sāmāñ liye hue
sayyād uThe naved-e-bahārāñ liye hue
kyā kahiye bahr-e-shauq kī hangāma-ḳheziyāñ
hai mauj-mauj shorish-e-tūfāñ liye hue
uljhā huā hai zulf-e-tasavvur kā baal baal
har ḳhvāb hai ḳhayāl-e-pareshāñ liye hue
aalam tamām zulmat-e-nau se hai tīra-jāñ
baiThe ho sham.a tum tah-e-dāmāñ liye hue
vo sūrmā kareñge koī ma.arka bhī sar
aa.e jo ran meñ qalb-e-harāsāñ liye hue
'ārif' payām-e-ām-e-mohabbat tirā payām
insāñ ke paas jā ġham-e-insāñ liye hue
hai husn sau hijab-e-farozan liye hue
kya dekhe koi dida-e-hairan liye hue
lutf-e-qubul-e-husn ka arman liye hue
hazir hain hum mata-e-dil-o-jaan liye hue
dam-e-qafas ka dosh pe saman liye hue
sayyaad uThe nawed-e-bahaaran liye hue
kya kahiye bahr-e-shauq ki hangama-KHeziyan
hai mauj-mauj shorish-e-tufan liye hue
uljha hua hai zulf-e-tasawwur ka baal baal
har KHwab hai KHayal-e-pareshan liye hue
aalam tamam zulmat-e-nau se hai tira-jaan
baiThe ho shama tum tah-e-daman liye hue
wo surma karenge koi marka bhi sar
aae jo ran mein qalb-e-harasan liye hue
'arif' payam-e-am-e-mohabbat tera payam
insan ke pas ja gham-e-insan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.