hai ibtida-e-gham-e-ishq roe jate hain
hai ibtidā-e-ġham-e-ishq ro.e jaate haiñ
libās rañgne se pahle bhigo.e jaate haiñ
satā rahā hai mire ḳhūn-e-nāravā kā ḳhayāl
vo niiñd meñ haiñ magar haath dho.e jaate haiñ
rahe hamesha ye fankār be-niyāz-e-sitam
qalam kī nok lahū meñ Dubo.e jaate haiñ
vo dekh dekh ke shādāb lāla-zār-e-jigar
ġhamoñ ke biij mire dil meñ bo.e jaate haiñ
havās yūrish-e-tahzīb-e-nau meñ gum jo hue
ham apne gauhar-e-aqdār kho.e jaate haiñ
kahāñ se 'barq' ne andāz-e-fikr-o-fan ke liye
ġhazal meñ dard ke jauhar samo.e jaate haiñ
hai ibtida-e-gham-e-ishq roe jate hain
libas rangne se pahle bhigoe jate hain
sata raha hai mere KHun-e-narawa ka KHayal
wo nind mein hain magar hath dhoe jate hain
rahe hamesha ye fankar be-niyaz-e-sitam
qalam ki nok lahu mein Duboe jate hain
wo dekh dekh ke shadab lala-zar-e-jigar
ghamon ke bij mere dil mein boe jate hain
hawas yurish-e-tahzib-e-nau mein gum jo hue
hum apne gauhar-e-aqdar khoe jate hain
kahan se 'barq' ne andaz-e-fikr-o-fan ke liye
ghazal mein dard ke jauhar samoe jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.