Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai inhin do namon se har ek afsane ka nam

Kaleem Aajiz

hai inhin do namon se har ek afsane ka nam

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    hai inhīñ do nāmoñ se har ek afsāne naam

    ek terā naam hai ik tere dīvāne naam

    tujh se raushan hai charāġh-e-mahfil-e-dār-o-rasan

    mujh se bhī is daur meñ zinda hai parvāne naam

    terī zulf-o-chashm-o-lab naam hai merī ġhazal

    terā andāz-e-suḳhan mere ġhazal gaane naam

    chal usī andāz se haañ chal usī andāz se

    shoḳhī-e-bād-e-sabā hai tere iThlāne naam

    mauj-e-ḳhushbū-e-ġhazal be-rañgī-e-rū-e-ġhazal

    ik tire aane hai naam ik tire jaane naam

    zinda-e-jāved merī shā.irī ne kar diyā

    naam tere gesuoñ aur mire shāne naam

    phuul toḌe koī patthar ham ko maarā jaa.e hai

    ne itnā kar diyā badnām dīvāne naam

    ham haiñ 'ājiz' ābrū-e-bazm-e-yārān-e-ġhazal

    ab isī ā.īne se hai ā.ina-ḳhāne naam

    hai inhin do namon se har ek afsane ka nam

    ek tera nam hai ek tere diwane ka nam

    tujh se raushan hai charagh-e-mahfil-e-dar-o-rasan

    mujh se bhi is daur mein zinda hai parwane ka nam

    teri zulf-o-chashm-o-lab ka nam hai meri ghazal

    tera andaz-e-suKHan mere ghazal gane ka nam

    chal usi andaz se han chal usi andaz se

    shoKHi-e-baad-e-saba hai tere iThlane ka nam

    mauj-e-KHushbu-e-ghazal be-rangi-e-ru-e-ghazal

    ek tere aane ka hai nam ek tere jaane ka nam

    zinda-e-jawed meri shairi ne kar diya

    nam tere gesuon ka aur mere shane ka nam

    phul toDe koi patthar hum ko mara jae hai

    tu ne itna kar diya badnam diwane ka nam

    hum hain 'ajiz' aabru-e-bazm-e-yaran-e-ghazal

    ab isi aaine se hai aaina-KHane ka nam

    Source :
    • Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 310)
    • Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
    • Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
    • Edition : 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now