hai intizar faqat phir bahaar aane ka
hai intizār faqat phir bahār aane kā
pata lagā.egā sayyād āshiyāne kā
bulāyā bazm meñ phir āñkh-bhar nahīñ dekhā
malāl kyā mire māyūs lauT jaane kā
marā jo gaañv meñ fāqoñ se us kā so.em hai
kiyā hai miir ne ye intizām khāne kā
badal gayā huuñ ki hālāt kā taqāza thā
javāz koī nahīñ paas tere aane kā
huā huuñ duur jo apnoñ se sar pe ban aa.ī
baḌā junūn thā pardes meñ kamāne kā
girānī hoñToñ kī muskān le uḌī yaaro
bahāna DhūñD ke laayā huuñ muskurāne kā
paḌā hai auñdhā mohabbat kā shahsavār thā jo
baḌā thā shauq use baḳht āzmāne kā
kahā-sunā jo kabhī tum muaaf kar denā
ḳhayāl dil se nikālā hai tum ko paane kā
kabhī to bin-kahe bhī baat maan letā thā
'rashīd' gur use aayā hai ab satāne kā
hai intizar faqat phir bahaar aane ka
pata lagaega sayyaad aashiyane ka
bulaya bazm mein phir aankh-bhar nahin dekha
malal kya mere mayus lauT jaane ka
mara jo ganw mein faqon se us ka soem hai
kiya hai mir ne ye intizam khane ka
badal gaya hun ki haalat ka taqaza tha
jawaz koi nahin pas tere aane ka
hua hun dur jo apnon se sar pe ban aai
baDa junun tha pardes mein kamane ka
girani honTon ki muskan le uDi yaro
bahana DhunD ke laya hun muskurane ka
paDa hai aundha mohabbat ka shahsawar tha jo
baDa tha shauq use baKHt aazmane ka
kaha-suna jo kabhi tum muaf kar dena
KHayal dil se nikala hai tum ko pane ka
kabhi to bin-kahe bhi baat man leta tha
'rashid' gur use aaya hai ab satane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.