hai intizar muqaddar to intizar karo
hai intizār muqaddar to intizār karo
par apne dil kī fazā ko bhī ḳhush-gavār karo
tumhāre pīchhe lagī haiñ udāsiyāñ kab se
kisī paḌāv pe ruk kar inheñ shikār karo
hamāre ḳhvāboñ kā dar khaTkhaTātī rahtī haiñ
tum apnī yādoñ ko samjhāo hoshiyār karo
bhalī lagegī yahī zindagī agar us meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā ko bhī shumār karo
bharosa baa'd meñ kar lenā saarī duniyā par
tum apne aap pe to pahle e’tibār karo
hai intizar muqaddar to intizar karo
par apne dil ki faza ko bhi KHush-gawar karo
tumhaare pichhe lagi hain udasiyan kab se
kisi paDaw pe ruk kar inhen shikar karo
hamare KHwabon ka dar khaTkhaTati rahti hain
tum apni yaadon ko samjhao hoshiyar karo
bhali lagegi yahi zindagi agar us mein
KHayal-o-KHwab ki duniya ko bhi shumar karo
bharosa ba'd mein kar lena sari duniya par
tum apne aap pe to pahle e’tibar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.