hai ishq mein abru ke jo kahida tan apna
hai ishq mein abru ke jo kahida tan apna
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
hai ishq meñ abrū ke jo kāhīda tan apnā
saaya tirī talvār kā hogā kafan apnā
us muñh kī kareñ baat zarā muñh ko to banvā.eñ
ġhunchoñ se kaho saaf to kar leñ dahan apnā
par khole hue kartī haiñ pariyāñ mirā mātam
indar kā ukhāḌā hai ye bait-ul-hazan apnā
kyā kahte haiñ sun sun ke mire sher ko sho.ala
a.adā ke liye teġh hai goyā suḳhan apnā
hai ishq mein abru ke jo kahida tan apna
saya teri talwar ka hoga kafan apna
us munh ki karen baat zara munh ko to banwaen
ghunchon se kaho saf to kar len dahan apna
par khole hue karti hain pariyan mera matam
indar ka ukhaDa hai ye bait-ul-hazan apna
kya kahte hain sun sun ke mere sher ko shoala
aada ke liye tegh hai goya suKHan apna
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 55)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.