hai ishq mein nairangi-e-taslim-o-raza aur
hai ishq meñ nairangī-e-taslīm-o-razā aur
kartā huuñ agar shukr to samjhe hai gila aur
rindoñ kī navā aur hai saaqī kī navā aur
yā-rab sar-e-mai-ḳhāna koī mast ghaTā aur
afsāna-e-ġham itnā to dilchasp nahīñ thā
jab maiñ ne kiyā ḳhatm to zālim ne kahā aur
dil hīla-e-inkār-e-junūñ DhūñD rahā hai
haañ mere liye kuchh shikan-e-zulf-e-dotā aur
jab sabr kā yaarā hai to phir ġham kā maza kyā
ġham hī mirī qismat hai to ai mere ḳhudā aur
manzil hai zarā duur abhī kaif-e-balā kī
ai rind-e-ḳhush-anjām koī laġhzish-e-pā aur
hai kuchh to sabab kashmakash-e-shauq kā āḳhir
tum ne hī kahā aur ki maiñ ne hī sunā aur
dil mahviyat-e-ġham meñ huā sub.h-farāmosh
ai shaiḳh-e-haram aaj muazzin kī sadā aur
yā-rab mirī niyyat kī ḳhabar tujh ko to hogī
maiñ ye nahīñ kahtā ki farishtoñ ne likhā aur
kyā jaane kahāñ ḳhatm ho ashkoñ kī kahānī
phir un ke tabassum se ik afsāna chhiḌā aur
mahrūm-e-mohabbat ise kyā samjhegā 'jauhar'
gulshan kī havā aur hai dāman kī havā aur
hai ishq mein nairangi-e-taslim-o-raza aur
karta hun agar shukr to samjhe hai gila aur
rindon ki nawa aur hai saqi ki nawa aur
ya-rab sar-e-mai-KHana koi mast ghaTa aur
afsana-e-gham itna to dilchasp nahin tha
jab main ne kiya KHatm to zalim ne kaha aur
dil hila-e-inkar-e-junun DhunD raha hai
han mere liye kuchh shikan-e-zulf-e-dota aur
jab sabr ka yara hai to phir gham ka maza kya
gham hi meri qismat hai to ai mere KHuda aur
manzil hai zara dur abhi kaif-e-bala ki
ai rind-e-KHush-anjam koi laghzish-e-pa aur
hai kuchh to sabab kashmakash-e-shauq ka aaKHir
tum ne hi kaha aur ki main ne hi suna aur
dil mahwiyat-e-gham mein hua subh-faramosh
ai shaiKH-e-haram aaj muazzin ki sada aur
ya-rab meri niyyat ki KHabar tujh ko to hogi
main ye nahin kahta ki farishton ne likha aur
kya jaane kahan KHatm ho ashkon ki kahani
phir un ke tabassum se ek afsana chhiDa aur
mahrum-e-mohabbat ise kya samjhega 'jauhar'
gulshan ki hawa aur hai daman ki hawa aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.