Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai isi mein pyar ki aabru wo jafa karen main wafa karun

Raja Mehdi Ali Khan

hai isi mein pyar ki aabru wo jafa karen main wafa karun

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    hai isī meñ pyaar aabrū vo jafā kareñ maiñ vafā karūñ

    jo vafā bhī kaam na aa sake to vahī kaheñ ki maiñ kyā karūñ

    mujhe ġham bhī un aziiz hai ki unhīñ huī chiiz hai

    yahī ġham hai ab mirī zindagī ise kaise dil se judā karūñ

    jo na ban sake maiñ vo baat huuñ jo na ḳhatm ho maiñ vo raat huuñ

    ye likhā hai mere nasīb meñ yūñhī sham.a ban ke jalā karūñ

    na kisī ke dil huuñ aarzū na kisī nazar huuñ justujū

    maiñ vo phuul huuñ jo udaas huuñ na bahār aa.e to kyā karūñ

    hai isi mein pyar ki aabru wo jafa karen main wafa karun

    jo wafa bhi kaam na aa sake to wahi kahen ki main kya karun

    mujhe gham bhi un ka aziz hai ki unhin ki di hui chiz hai

    yahi gham hai ab meri zindagi ise kaise dil se juda karun

    jo na ban sake main wo baat hun jo na KHatm ho main wo raat hun

    ye likha hai mere nasib mein yunhi shama ban ke jala karun

    na kisi ke dil ki hun aarzu na kisi nazar ki hun justuju

    main wo phul hun jo udas hun na bahaar aae to kya karun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now