hai jab se dast-e-yar mein saghar sharab ka
hai jab se dast-e-yār meñ sāġhar sharāb kā
kauḌe kā ho gayā hai kaTorā gulāb kā
sayyād ne tasallī-e-bulbul ke vāste
kunj-e-qafas meñ hauz bharā hai gulāb kā
dariyā-e-ḳhūñ kiyā hai tirī teġh ne ravāñ
hāsil huā hai rutba saroñ ko hubāb kā
jo satr hai vo gasū-e-hūr-e-bahisht hai
ḳhāl-e-parī hai nuqta hamārī kitāb kā
nau āsmāñ haiñ saf.ha-e-avval ke nau luġhat
kaunain ik do varqa hai apnī kitāb kā
ai mauj-e-be-lihāz samajh kar miTā.īyo
dariyā bhī hai asiir tilism-e-hubāb kā
bichhvā.īye na chāñdnī meñ baam par palañg
manhūs hai qirān mah o āftāb kā
ik tark shahsavār kī dīvānī ruuh hai
zanjīr meñ hamāre ho lohā rikāb kā
husn-o-jamāl se hai zamāne meñ raushnī
shab māhtāb kī hai to roz āftāb kā
allāh-re hamārā takalluf shab-e-visāl
roġhan ke badle itr jalāyā gulāb kā
masjid se mai-kade meñ mujhe nashsha le gayā
mauj-e-sharāb jaada thī rāh-e-savāb kā
insāf se vo zamzama merā agar sune
dam band hove tūtī-e-hāzir-javāb kā
ulfat jo zulf se hai dil-e-dāġh-dār ko
tā.ūs ko ye ishq na hogā sahāb kā
ma.amūr jo huā araq-e-ruḳh se vo zaqan
mazmūn mil gayā mujhe chāh-e-gulāb kā
paatā huuñ naaf kā kamar-e-yār meñ maqām
chashma magar adam meñ hai gauhar kī aab kā
'ātish' shab-e-firāq meñ pūchhūñgā maah se
ye daaġh hai diyā huā kis āftāb kā
hai jab se dast-e-yar mein saghar sharab ka
kauDe ka ho gaya hai kaTora gulab ka
sayyaad ne tasalli-e-bulbul ke waste
kunj-e-qafas mein hauz bhara hai gulab ka
dariya-e-KHun kiya hai teri tegh ne rawan
hasil hua hai rutba saron ko hubab ka
jo satr hai wo gasu-e-hur-e-bahisht hai
KHal-e-pari hai nuqta hamari kitab ka
nau aasman hain safha-e-awwal ke nau lughat
kaunain ek do warqa hai apni kitab ka
ai mauj-e-be-lihaz samajh kar miTaiyo
dariya bhi hai asir tilism-e-hubab ka
bichhwaiye na chandni mein baam par palang
manhus hai qiran mah o aaftab ka
ek tark shahsawar ki diwani ruh hai
zanjir mein hamare ho loha rikab ka
husn-o-jamal se hai zamane mein raushni
shab mahtab ki hai to roz aaftab ka
allah-re hamara takalluf shab-e-visal
roghan ke badle itr jalaya gulab ka
masjid se mai-kade mein mujhe nashsha le gaya
mauj-e-sharab jada thi rah-e-sawab ka
insaf se wo zamzama mera agar sune
dam band howe tuti-e-hazir-jawab ka
ulfat jo zulf se hai dil-e-dagh-dar ko
taus ko ye ishq na hoga sahab ka
mamur jo hua araq-e-ruKH se wo zaqan
mazmun mil gaya mujhe chah-e-gulab ka
pata hun naf ka kamar-e-yar mein maqam
chashma magar adam mein hai gauhar ki aab ka
'atish' shab-e-firaq mein puchhunga mah se
ye dagh hai diya hua kis aaftab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.