hai jabr waqt ka qissa ajab sunae kaun
hai jabr vaqt kā qissa ajab sunā.e kaun
maiñ yaad us ko karūñ aur yaad aa.e kaun
ye baat bujhte diyoñ ne kisī se pūchhī thī
jale to ham the magar ḳhair jagmagā.e kaun
use talāsh to karnā hai phir ye sochtā huuñ
zamāna aur hai ab zahmateñ uThā.e kaun
yahāñ to apne charāġhoñ kī fikr hai sab ko
diyā jalāyā hai sab ne diye jalā.e kaun
yahāñ to log inhī hairatoñ meñ jiite haiñ
ki tiir kis pe chale aur zaḳhm khaa.e kaun
yahāñ to jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb jāgte haiñ
jo jāgte hoñ unheñ ḳhvāb se jagā.e kaun
yahāñ kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ miltī
magar ye be-ḳhabarī kī ḳhabar sunā.e kaun
yahāñ to sub.h se pahle hī bazm barham hai
diyā bujhā de koī par diyā bujhā.e kaun
hai jabr waqt ka qissa ajab sunae kaun
main yaad us ko karun aur yaad aae kaun
ye baat bujhte diyon ne kisi se puchhi thi
jale to hum the magar KHair jagmagae kaun
use talash to karna hai phir ye sochta hun
zamana aur hai ab zahmaten uThae kaun
yahan to apne charaghon ki fikr hai sab ko
diya jalaya hai sab ne diye jalae kaun
yahan to log inhi hairaton mein jite hain
ki tir kis pe chale aur zaKHm khae kaun
yahan to jagti aankhon mein KHwab jagte hain
jo jagte hon unhen KHwab se jagae kaun
yahan kisi ko kisi ki KHabar nahin milti
magar ye be-KHabari ki KHabar sunae kaun
yahan to subh se pahle hi bazm barham hai
diya bujha de koi par diya bujhae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.