hai jaise roz diwali si duniya duniya walon ki
hai jaise roz dīvālī sī duniyā duniyā vāloñ kī
hameñ bhī chaar din kī zindagī miltī ujāloñ kī
judā ġham hai judā ḳhushiyāñ judā din hai judā rāteñ
ye duniyā hī nirālī hai mohabbat karne vāloñ kī
zamāna ḳhūbsūrat hai zamāne meñ hasīñ lākhoñ
magar tasvīr to tum ho mire ḳhvāboñ ḳhayāloñ kī
kabhī tark-e-mohabbat tum karo sochā na thā maiñ ne
bhulā dī ek din hī meñ mohabbat tum ne sāloñ kī
zamāne ke varaq par ab likhūñgā dāstān-e-ġham
zabāñ bhī aa ga.ī mujh ko kitāboñ kī risāloñ kī
chhupā kar ek ā.īna rakhā hai maiñ ne bhī dil meñ
kabhī tasvīr le lūñgā sabhī maiñ husn vāloñ kī
javāb is kā sahī degā koī to is ko kholūñgā
banā kar ek gaThrī maiñ ne rakhī hai savāloñ kī
safar meñ zindagī ke ham ne ye dekhā hai ai 'arpit'
zarūrat paḌ hī jaatī hai kabhī sūkhe nivāloñ kī
hai jaise roz diwali si duniya duniya walon ki
hamein bhi chaar din ki zindagi milti ujalon ki
juda gham hai juda KHushiyan juda din hai juda raaten
ye duniya hi nirali hai mohabbat karne walon ki
zamana KHubsurat hai zamane mein hasin lakhon
magar taswir to tum ho mere KHwabon KHayalon ki
kabhi tark-e-mohabbat tum karo socha na tha main ne
bhula di ek din hi mein mohabbat tum ne salon ki
zamane ke waraq par ab likhunga dastan-e-gham
zaban bhi aa gai mujh ko kitabon ki risalon ki
chhupa kar ek aaina rakha hai main ne bhi dil mein
kabhi taswir le lunga sabhi main husn walon ki
jawab is ka sahi dega koi to is ko kholunga
bana kar ek gaThri main ne rakhi hai sawalon ki
safar mein zindagi ke hum ne ye dekha hai ai 'arpit'
zarurat paD hi jati hai kabhi sukhe niwalon ki
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.