hai jaise shams-o-qamar se is aasman ki shan
hai jaise shams-o-qamar se is āsmān kī shaan
baḌoñ ke dam se hī hotī hai ḳhāndān kī shaan
thā bazm-e-yār meñ huqqe kā ehtimām kabhī
ziyāfatoñ meñ thī ik roz pān-dān kī shaan
ajab hai shahr-e-qavā.ed na inzibāt koī
na bādshāh kī izzat na pāsbān kī shaan
vaqār-e-ishq meñ mutlaq kamī nahīñ aatī
ḳhasārā aur baḌhātā hai is dukān kī shaan
isī se buntā huuñ 'ātir' ġhazal kā pairāhan
bas ik kapās kī khetī hai is kisān kī shaan
hai jaise shams-o-qamar se is aasman ki shan
baDon ke dam se hi hoti hai KHandan ki shan
tha bazm-e-yar mein huqqe ka ehtimam kabhi
ziyafaton mein thi ek roz pan-dan ki shan
ajab hai shahr-e-qawaed na inzibaat koi
na baadshah ki izzat na pasban ki shan
waqar-e-ishq mein mutlaq kami nahin aati
KHasara aur baDhata hai is dukan ki shan
isi se bunta hun 'atir' ghazal ka pairahan
bas ek kapas ki kheti hai is kisan ki shan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.