hai jhalak us mein istiare ki
hai jhalak us meñ isti.āre kī
shakl pahchāniye sitāre kī
naam aatā hai baar baar mirā
baat chaltī hai jab ḳhasāre kī
saath sūraj ke Duub jaatā hai
haa.e re bebasī nazāre kī
kitnī baisākhiyāñ thiiñ mere liye
jab zarūrat na thī sahāre kī
ab huā merā sar judā tan se
ik zarā der thī ishāre kī
kyā ye mumkin nahīñ ki tūfāñ meñ
baat chaltī rahe kināre kī
'shān' ab raah dekhī jaatī hai
rang ke har na.e shumāre kī
hai jhalak us mein istiare ki
shakl pahchaniye sitare ki
nam aata hai bar bar mera
baat chalti hai jab KHasare ki
sath suraj ke Dub jata hai
hae re bebasi nazare ki
kitni baisakhiyan thin mere liye
jab zarurat na thi sahaare ki
ab hua mera sar juda tan se
ek zara der thi ishaare ki
kya ye mumkin nahin ki tufan mein
baat chalti rahe kinare ki
'shan' ab rah dekhi jati hai
rang ke har nae shumare ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.