hai jis ke dil mein KHuda ki dahshat
hai jis ke dil meñ ḳhudā kī dahshat
use kahāñ hai qazā kī dahshat
mire charāġhoñ meñ hausla hai
Darā.egī kyā havā kī dahshat
vo zābta koī zābta hai
chhupī ho jis meñ anā kī dahshat
ham haq ko apne zarūr leñge
nahīñ hai terī sazā kī dahshat
qadam qadam tum sañbhal ke chalnā
hai is nagar meñ balā kī dahshat
azaab jaisā hai zard mausam
guloñ meñ phir hai fanā kī dahshat
chhupā.e phirte haiñ muñh añdhere
hai un meñ kitnī ziyā kī dahshat
ḳhamosh ab bhī haiñ mere dushman
hai un pe taarī sadā kī dahshat
yazīdiyoñ ke diloñ meñ 'shādāñ'
hai aaj bhī karbalā kī dahshat
hai jis ke dil mein KHuda ki dahshat
use kahan hai qaza ki dahshat
mere charaghon mein hausla hai
Daraegi kya hawa ki dahshat
wo zabta koi zabta hai
chhupi ho jis mein ana ki dahshat
hum haq ko apne zarur lenge
nahin hai teri saza ki dahshat
qadam qadam tum sanbhal ke chalna
hai is nagar mein bala ki dahshat
azab jaisa hai zard mausam
gulon mein phir hai fana ki dahshat
chhupae phirte hain munh andhere
hai un mein kitni ziya ki dahshat
KHamosh ab bhi hain mere dushman
hai un pe tari sada ki dahshat
yazidiyon ke dilon mein 'shadan'
hai aaj bhi karbala ki dahshat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.