hai jo sina mein jagah lahke hai angara sa
hai jo siina meñ jagah lahke hai añgārā sā
dil jo pahlū meñ hai betāb hai vo paarā sā
aañkh lagtī hai koī pal to hameñ haañ us kā
ālam-e-ḳhvāb meñ ho jaa.e hai nazzārā sā
dil hai us sozan-e-mizhgāñ se mushabbak merā
chhūTne kyuuñ lage ḳhuun kā favvārā sā
dil kahīñ diida kahīñ jī hai kahīñ jaan kahīñ
gardish-e-charḳh meñ har ek hai āvārā sā
sīna-kūbāñ tire kūcha se rah jaatā hai 'nisār'
sub.h se sunte haiñ ham coach kā naqqārā sā
hai jo sina mein jagah lahke hai angara sa
dil jo pahlu mein hai betab hai wo para sa
aankh lagti hai koi pal to hamein han us ka
aalam-e-KHwab mein ho jae hai nazzara sa
dil hai us sozan-e-mizhgan se mushabbak mera
chhuTne kyun lage KHun ka fawwara sa
dil kahin dida kahin ji hai kahin jaan kahin
gardish-e-charKH mein har ek hai aawara sa
sina-kuban tere kucha se rah jata hai 'nisar'
subh se sunte hain hum coach ka naqqara sa
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.