Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai jo tufan be-nawaon mein

Imtiyaz Saghar

hai jo tufan be-nawaon mein

Imtiyaz Saghar

MORE BYImtiyaz Saghar

    hai jo tūfān be-navāoñ meñ

    phailne ko hai ab havāoñ meñ

    raakh dil kuredne vaalo

    aag lag jā.egī fazāoñ meñ

    mujh ko chauñkā.e kyā koī naġhma

    gum huuñ maiñ apnī sadāoñ meñ

    bas yahī hai fasāna-e-hastī

    saañs ghir ga.e balāoñ meñ

    aur me.ār-e-haq buland huā

    kuchh izāfa huā sazāoñ meñ

    aañkh rakhtī hai kyā samā.at bhī

    sūrateñ dekh liiñ sadāoñ meñ

    umr bhar DhūñDte rahe 'sāġhar'

    bū-e-iḳhlās kaj-adāoñ meñ

    hai jo tufan be-nawaon mein

    phailne ko hai ab hawaon mein

    rakh dil ki kuredne walo

    aag lag jaegi fazaon mein

    mujh ko chaunkae kya koi naghma

    gum hun main apni hi sadaon mein

    bas yahi hai fasana-e-hasti

    sans li ghir gae balaon mein

    aur mear-e-haq buland hua

    kuchh izafa hua sazaon mein

    aankh rakhti hai kya samaat bhi

    suraten dekh lin sadaon mein

    umr bhar DhunDte rahe 'saghar'

    bu-e-iKHlas kaj-adaon mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now