hai justuju agar isko idhar bhi aaega
hai justujū agar is ko idhar bhī aa.egā
nikal paḌā hai to phir mere ghar bhī aa.egā
tamām 'umr kaTegī yūñhī sarāboñ meñ
vo sāmne bhī na hogā nazar bhī aa.egā
jo ġham huā hai na.e shahr ke makānoñ meñ
vo dekhne ko kabhī ye khañDar bhī aa.egā
rachī hai mere badan meñ tamām din kī thakan
abhī to raat kā lambā safar bhī aa.egā
zarā sī der meñ har shai chamak uThegī 'nasīm'
sahar huī hai to nūr-e-sahar bhī aa.egā
hai justuju agar is ko idhar bhi aaega
nikal paDa hai to phir mere ghar bhi aaega
tamam 'umr kaTegi yunhi sarabon mein
wo samne bhi na hoga nazar bhi aaega
jo gham hua hai nae shahr ke makanon mein
wo dekhne ko kabhi ye khanDar bhi aaega
rachi hai mere badan mein tamam din ki thakan
abhi to raat ka lamba safar bhi aaega
zara si der mein har shai chamak uThegi 'nasim'
sahar hui hai to nur-e-sahar bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.