hai karwan ka shor sar-e-rahguzar uTha
hai kārvāñ kā shor sar-e-rahguzar uThā
jaanā hai gar tujhe bhī to raḳht-e-safar uThā
tārīkiyoñ meñ vaqt kī raqs-e-sharar uThā
ḳhāmosh farsh-e-āb pe tū bhī lahar uThā
shabnam haqīr tere liye hai shuā-e-mehr
laale ke dast-e-nāz se phir kyoñ guhar uThā
ḳhīra hai aañkh terī yahāñ zulmatoñ se kyoñ
niklā hai āftāb zarā tū nazar uThā
gardish hai mehr-o-māh kī zanjīr ban ga.ī
baḌh kar tū aaj parda-e-shām-o-sahar uThā
nākāmiyoñ se Dartī haiñ himmat kī pastiyāñ
zarroñ pe kyoñ nazar hai tū baḌh kar guhar uThā
saa.e se apne kis liye Dartā hai is qadar
koī nahīñ hai teġh zarā apnā sar uThā
apnī fuġhāñ bhī ai lab-e-ḳhāmosh kar buland
saare jahāñ meñ kaisā hai ye shor-o-shar uThā
piite raheñge ḳhūn-e-tamannā hī kab talak
ab mai-kade meñ jaam ba-tarz-e-digar uThā
nazreñ ye kis se vaqt ke aamir ne pher liiñ
neze pe aaj dekhiye kis kā ye sar uThā
hai karwan ka shor sar-e-rahguzar uTha
jaana hai gar tujhe bhi to raKHt-e-safar uTha
tarikiyon mein waqt ki raqs-e-sharar uTha
KHamosh farsh-e-ab pe tu bhi lahar uTha
shabnam haqir tere liye hai shua-e-mehr
lale ke dast-e-naz se phir kyon guhar uTha
KHira hai aankh teri yahan zulmaton se kyon
nikla hai aaftab zara tu nazar uTha
gardish hai mehr-o-mah ki zanjir ban gai
baDh kar tu aaj parda-e-sham-o-sahar uTha
nakaamiyon se Darti hain himmat ki pastiyan
zarron pe kyon nazar hai tu baDh kar guhar uTha
sae se apne kis liye Darta hai is qadar
koi nahin hai tegh zara apna sar uTha
apni fughan bhi ai lab-e-KHamosh kar buland
sare jahan mein kaisa hai ye shor-o-shar uTha
pite rahenge KHun-e-tamanna hi kab talak
ab mai-kade mein jam ba-tarz-e-digar uTha
nazren ye kis se waqt ke aamir ne pher lin
neze pe aaj dekhiye kis ka ye sar uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.