hai kabhi dil kabhi nigah se jang
hai kabhī dil kabhī nigāh se jañg
roz ik ḳhvāhish-e-gunāh se jañg
roz ġham ke na.e mahāz pe huuñ
roz laḌnā na.ī sipāh se jañg
chaar sū garm hai mahāz koī
kahīñ munsif kahīñ gavāh se jañg
muddatoñ se yahī tamāshā hai
ḳhvāhishoñ kī dil-e-tabāh se jañg
sañg bhī haath meñ nahīñ koī
chhiḌ ga.ī hai sagān-e-rāh se jañg
mere andar se koī kahtā hai
chheḌ arbāb-e-izz-o-jāh se jañg
ab to 'ausāf' har bisāt pe hai
ik piyāde kī ek shaah se jañg
hai kabhi dil kabhi nigah se jang
roz ek KHwahish-e-gunah se jang
roz gham ke nae mahaz pe hun
roz laDna nai sipah se jang
chaar su garm hai mahaz koi
kahin munsif kahin gawah se jang
muddaton se yahi tamasha hai
KHwahishon ki dil-e-tabah se jang
sang bhi hath mein nahin koi
chhiD gai hai sagan-e-rah se jang
mere andar se koi kahta hai
chheD arbab-e-izz-o-jah se jang
ab to 'ausaf' har bisat pe hai
ek piyaade ki ek shah se jang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.