hai kahan kaun hai kaisa wo nazar aata hai
hai kahāñ kaun hai kaisā vo nazar aatā hai
ḳhud meñ kam mujh meñ ziyāda vo nazar aatā hai
kyā ta.alluq hai mirā us se batā.ūñ kaise
har duā meñ mujhe chehra vo nazar aatā hai
tishnagī jab mujhe dīdār kī taḌpā.e to
aise hālāt meñ dariyā vo nazar aatā hai
gher lete haiñ mujhe jab bhī añdhere ġham ke
merā hamdard akelā vo nazar aatā hai
tum ne pūchhā kabhī 'santosh' se jā kar yaaro
kis liye bhiiḌ meñ tanhā vo nazar aatā hai
hai kahan kaun hai kaisa wo nazar aata hai
KHud mein kam mujh mein ziyaada wo nazar aata hai
kya talluq hai mera us se bataun kaise
har dua mein mujhe chehra wo nazar aata hai
tishnagi jab mujhe didar ki taDpae to
aise haalat mein dariya wo nazar aata hai
gher lete hain mujhe jab bhi andhere gham ke
mera hamdard akela wo nazar aata hai
tum ne puchha kabhi 'santosh' se ja kar yaro
kis liye bhiD mein tanha wo nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.