hai karam us ka ki insan bhi azimushshan hua
hai karam us ka ki insan bhi azimushshan hua
Muhammad Fiaz Hasrat
MORE BYMuhammad Fiaz Hasrat
hai karam us kā ki insāñ bhī azīmushshāñ huā
varna thī kyā baat jo nūr-e-ḳhudā hairāñ huā
kyā kare tārīf us kī vo bhī banda-e-ḳhudā
jis pe ye zī-rūh kyā aalam sabhī nāzāñ huā
us ke kun kahne se aalam aur phir kyā kyā banā
aql-e-insānī se be-shak raaz ye pinhāñ huā
jab hai saarī kā.enāt us kī ibādat meñ magan
to use kyā gar jo koī munkir-e-yazdāñ huā
āzmā.ish to ḳhalīlullāh kī puurī huī
ba.ad is ke kaise kaise aadmī qurbāñ huā
haañ vahāñ hogā mayassar iḳhtiyār
maiñ na jānūñ phir mirā kyūñkar na kam armāñ huā
zulm insāñ par musalsal hai kiyā kis ne suno
murtakib is jurm kā haa.e ki bas insāñ huā
ai bayābāñ in daraḳhshāñ shahroñ se thī kyā jalan
jo tirī sūrat kī mānind shahar ye vīrāñ huā
is tarah shāyad salāmat tā-qayāmat tū rahe
ho mubārak ab tirā dushman tirā darbāñ huā
darja-e-uzmā pe faa.ez to yahāñ insāf hai
be-qusūroñ va be-basoñ kā muntazir zindāñ huā
yuuñ to hasrat zindagī saarī musalmāñ hī rahā
vaqt-e-āḳhir vo magar maiñ sāhab-e-īmāñ huā
hai karam us ka ki insan bhi azimushshan hua
warna thi kya baat jo nur-e-KHuda hairan hua
kya kare tarif us ki wo bhi banda-e-KHuda
jis pe ye zi-ruh kya aalam sabhi nazan hua
us ke kun kahne se aalam aur phir kya kya bana
aql-e-insani se be-shak raaz ye pinhan hua
jab hai sari kaenat us ki ibaadat mein magan
to use kya gar jo koi munkir-e-yazdan hua
aazmaish to KHalilullah ki puri hui
baad is ke kaise kaise aadmi qurban hua
han wahan hoga mayassar iKHtiyar
main na jaanun phir mera kyunkar na kam arman hua
zulm insan par musalsal hai kiya kis ne suno
murtakib is jurm ka hae ki bas insan hua
ai bayaban in daraKHshan shahron se thi kya jalan
jo teri surat ki manind shahar ye viran hua
is tarah shayad salamat ta-qayamat tu rahe
ho mubarak ab tera dushman tera darban hua
darja-e-uzma pe faez to yahan insaf hai
be-qusuron wa be-bason ka muntazir zindan hua
yun to hasrat zindagi sari musalman hi raha
waqt-e-aKHir wo magar main sahab-e-iman hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.