hai kaThin rah to gir gir ke sambhalna hoga
hai kaThin raah to gir gir ke sambhalnā hogā
apne manzil kī taraf dauḌ ke chalnā hogā
apne ḳhvāboñ ko haqīqat meñ badalne ke liye
ḳhvāb-e-ġhaflat se kisī taur nikalnā hogā
tez āñdhī meñ jalānā hai agar apnā charāġh
ruḳh havāoñ kā ba-har-hāl badalnā hogā
ban ke ulfat kī ghaTā tum yahāñ barsoñ varna
aag nafrat kī jo bhaḌkegī to jalnā hogā
chup rahoge to na mil pā.egā insāf kabhī
us ko paane ke liye tum ko machalnā hogā
zindagī maañg rahī hai jo umañgo kī dalīl
tum ko dariyā kī tarah phir se ubalnā hogā
tum jo chāhe ki ujālā ho tire dam se 'munīb'
ban ke ik sham.a yahāñ tujh ko pighalnā hogā
hai kaThin rah to gir gir ke sambhalna hoga
apne manzil ki taraf dauD ke chalna hoga
apne KHwabon ko haqiqat mein badalne ke liye
KHwab-e-ghaflat se kisi taur nikalna hoga
tez aandhi mein jalana hai agar apna charagh
ruKH hawaon ka ba-har-haal badalna hoga
ban ke ulfat ki ghaTa tum yahan barson warna
aag nafrat ki jo bhaDkegi to jalna hoga
chup rahoge to na mil paega insaf kabhi
us ko pane ke liye tum ko machalna hoga
zindagi mang rahi hai jo umango ki dalil
tum ko dariya ki tarah phir se ubalna hoga
tum jo chahe ki ujala ho tere dam se 'munib'
ban ke ek shama yahan tujh ko pighalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.