hai kaun jo batae tumhaara hai ghar kahan
hai kaun jo batā.e tumhārā hai ghar kahāñ
DhūñDegī tum ko shams-o-qamar kī nazar kahāñ
ruknā paḌegā raah meñ ai ham-safar kahāñ
kyā jaane apnī shaam kahāñ aur sahar kahāñ
ai ahl-e-kārvāñ ye tumheñ hai ḳhabar kahāñ
manzil kidhar hai le ke chalā rāhbar kahāñ
parvāna sadqe hone lagā sham.a par magar
me.arāj-e-ishq kyā hai use ye ḳhabar kahāñ
ik saath kah uThe haiñ sabhī bazm-e-nāz meñ
aalam meñ koī aur sahī tū magar kahāñ
ham ko sanam ke husn meñ husn-e-ḳhudā milā
phir ye batāo ham sā koī dīda-var kahāñ
dīvāna kah rahā hai bagūloñ ko dekh kar
phirne lagī bahār chaman chhoḌ kar kahāñ
ham to chaleñge saath zamāne ke umr bhar
chaltā hai apne saath zamāna magar kahāñ
'muḳhlis' havas ko chhoḌ do merā hai mashvara
dekhā hai aap ne ye shajar bārvar kahāñ
hai kaun jo batae tumhaara hai ghar kahan
DhunDegi tum ko shams-o-qamar ki nazar kahan
rukna paDega rah mein ai ham-safar kahan
kya jaane apni sham kahan aur sahar kahan
ai ahl-e-karwan ye tumhein hai KHabar kahan
manzil kidhar hai le ke chala rahbar kahan
parwana sadqe hone laga shama par magar
mearaj-e-ishq kya hai use ye KHabar kahan
ek sath kah uThe hain sabhi bazm-e-naz mein
aalam mein koi aur sahi tu magar kahan
hum ko sanam ke husn mein husn-e-KHuda mila
phir ye batao hum sa koi dida-war kahan
diwana kah raha hai bagulon ko dekh kar
phirne lagi bahaar chaman chhoD kar kahan
hum to chalenge sath zamane ke umr bhar
chalta hai apne sath zamana magar kahan
'muKHlis' hawas ko chhoD do mera hai mashwara
dekha hai aap ne ye shajar barwar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.