hai KHamoshi-e-intizar bala
hai ḳhamoshī-e-intizār balā
ast hai ek chup hazār balā
dekh le ik nazar ki hai manzūr
sad-tabāhī o sad-hazār balā
dilbarī par hai jāñ-fazā be-dād
dil-dahī par hai jāñ-nisār balā
hijr meñ āsmāñ mudārā.ī
vasl meñ hai satīza-kār balā
kaj-kulāhī kā ham-nashīñ fitna
ḳham-e-gesū kī dost-dār balā
aa ga.ī sar pe āqibat aafat
ho ga.ī chashm-e-intizār balā
hai fidā mujh pe āsmāñ goyā
vaar vaar aa.ī baar baar balā
mujh sā pāmāl-e-rozgār hai kaun
ḳhajil aafat hai sharm-sār balā
daaġh kā mere dard-kash sadma
dard kī mere rāz-dār balā
sehn-e-gulshan kī sham-e-bazm hai barq
naujavānī kī hai bahār balā
ai 'qalaq' āsare kā kyā jiinā
zindagī hai ma.āl-e-kār balā
hai KHamoshi-e-intizar bala
ast hai ek chup hazar bala
dekh le ek nazar ki hai manzur
sad-tabahi o sad-hazar bala
dilbari par hai jaan-faza be-dad
dil-dahi par hai jaan-nisar bala
hijr mein aasman mudarai
wasl mein hai satiza-kar bala
kaj-kulahi ka ham-nashin fitna
KHam-e-gesu ki dost-dar bala
aa gai sar pe aaqibat aafat
ho gai chashm-e-intizar bala
hai fida mujh pe aasman goya
war war aai bar bar bala
mujh sa pamal-e-rozgar hai kaun
KHajil aafat hai sharm-sar bala
dagh ka mere dard-kash sadma
dard ki mere raaz-dar bala
sehn-e-gulshan ki sham-e-bazm hai barq
naujawani ki hai bahaar bala
ai 'qalaq' aasare ka kya jina
zindagi hai maal-e-kar bala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.