hai KHamoshi zulm-charKH-e-dev-paikar ka jawab
hai ḳhamoshī zulm-charḳh-e-dev-paikar kā javāb
aadmī hotā to ham dete barābar kā javāb
jo bagūlā dasht-e-ġhurbat meñ uThā samjhā ye maiñ
kartī hai tā'mīr dīvānī mire ghar kā javāb
saath ḳhanjar ke chalegī vaqt-e-zab.h apnī zabān
jaan dene vaale dete haiñ barābar kā javāb
sajda kartā huuñ jo maiñ Thokar lagātā hai vo but
paañv us kā baḌh ke detā hai mire sar kā javāb
abr ke TukḌe na uljheñ merī mauj-e-ashk se
ḳhushk maġhzoñ se hai mushkil misra-e-tar kā javāb
vo khiñchā thā maiñ bhī khiñch rahtā to bantī kis tarah
sar jhukā detā thā qātil tere ḳhanjar kā javāb
jīte-jī mumkin nahīñ us shoḳh kā ḳhat dekhnā
baa'd mere aa.egā mere muqaddar kā javāb
shaiḳh kahtā hai brahman ko brahman us ko saḳht
kā'ba o but-ḳhāna meñ patthar hai patthar kā javāb
roz dikhlātā hai gardūñ kaisī kaisī sūrateñ
but-tarāshī meñ hai ye kāfir bhī aazar kā javāb
har jagah qabr-e-gadā takiye meñ har jā gor-e-shāh
ek ghar is shahr meñ hai dūsre ghar kā javāb
jalva-gar hai nūr-e-haq hone se yaktā.ī 'amīr'
saaya bhī hotā agar hotā payambar kā javāb
hai KHamoshi zulm-charKH-e-dew-paikar ka jawab
aadmi hota to hum dete barabar ka jawab
jo bagula dasht-e-ghurbat mein uTha samjha ye main
karti hai ta'mir diwani mere ghar ka jawab
sath KHanjar ke chalegi waqt-e-zabh apni zaban
jaan dene wale dete hain barabar ka jawab
sajda karta hun jo main Thokar lagata hai wo but
panw us ka baDh ke deta hai mere sar ka jawab
abr ke TukDe na uljhen meri mauj-e-ashk se
KHushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawab
wo khincha tha main bhi khinch rahta to banti kis tarah
sar jhuka deta tha qatil tere KHanjar ka jawab
jite-ji mumkin nahin us shoKH ka KHat dekhna
ba'd mere aaega mere muqaddar ka jawab
shaiKH kahta hai brahman ko brahman us ko saKHt
ka'ba o but-KHana mein patthar hai patthar ka jawab
roz dikhlata hai gardun kaisi kaisi suraten
but-tarashi mein hai ye kafir bhi aazar ka jawab
har jagah qabr-e-gada takiye mein har ja gor-e-shah
ek ghar is shahr mein hai dusre ghar ka jawab
jalwa-gar hai nur-e-haq hone se yaktai 'amir'
saya bhi hota agar hota payambar ka jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.