hai KHasara jo KHasare ko KHasara jaane
hai ḳhasāra jo ḳhasāre ko ḳhasāra jaane
ham tire hijr ke dariyā ko kināra jaane
uTh ke dekhā to ḳhamoshī ke sivā koī na thā
raat bhar kis ne mirā naam pukārā jaane
koī aisā ho batā.ūñ na koī baat jise
rahūñ ḳhāmosh magar haal vo saarā jaane
ḳhvāb kyā chiiz hai aur raat kise kahte haiñ
niiñd jaane yā koī niiñd kā maarā jaane
zalzale aa ke guzar jaate haiñ jin shahroñ se
kis tarah baste haiñ vo shahr dubāra jaane
jise dekho vahī haq maañg rahā hai apnā
koī to ho jo yahāñ ham ko hamārā jaane
hai KHasara jo KHasare ko KHasara jaane
hum tere hijr ke dariya ko kinara jaane
uTh ke dekha to KHamoshi ke siwa koi na tha
raat bhar kis ne mera nam pukara jaane
koi aisa ho bataun na koi baat jise
rahun KHamosh magar haal wo sara jaane
KHwab kya chiz hai aur raat kise kahte hain
nind jaane ya koi nind ka mara jaane
zalzale aa ke guzar jate hain jin shahron se
kis tarah baste hain wo shahr dubara jaane
jise dekho wahi haq mang raha hai apna
koi to ho jo yahan hum ko hamara jaane
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 53)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.