hai khel ki taqdir ka inam mere nam
hai khel ki taqdīr kā in'ām mire naam
bheje hai koī nāma-e-be-nām mire naam
mere liye kuchh karne kā armāñ hai to ik din
kuchh diip jalā denā sar-e-shām mire naam
thī rāh-e-masīhā.ī meñ e'zāz kī ummīd
aayā hai magar qatl kā ilzām mire naam
insāf ke maiḳhāne meñ ham donoñ haiñ yaksāñ
ik jaam tire naam to ik jaam mire naam
har shaḳhs ko ye ḳhvāhish-e-nākām hai 'zāhid'
jīvan meñ ho ārām hī ārām mire naam
hai khel ki taqdir ka in'am mere nam
bheje hai koi nama-e-be-nam mere nam
mere liye kuchh karne ka arman hai to ek din
kuchh dip jala dena sar-e-sham mere nam
thi rah-e-masihai mein e'zaz ki ummid
aaya hai magar qatl ka ilzam mere nam
insaf ke maiKHane mein hum donon hain yaksan
ek jam tere nam to ek jam mere nam
har shaKHs ko ye KHwahish-e-nakaam hai 'zahid'
jiwan mein ho aaram hi aaram mere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.