Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe

Behzad Lakhnavi

hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    hai ḳhirad-mandī yahī bā-hosh dīvāna rahe

    hai vahī apnā ki jo apne se begāna rahe

    kufr se ye iltijā.eñ kar rahā huuñ baar baar

    jā.ūñ to ka.aba magar ruḳh sū-e-mai-ḳhāna rahe

    sham-e-sozāñ kuchh ḳhabar bhī hai tujhe o mast-e-ġham

    husn-e-mahfil hai jabhī jab tak ki parvāna rahe

    zaḳhm-e-dil ai zaḳhm-e-dil nāsūr kyuuñ bantā nahīñ

    lutf to jab hai ki afsāne meñ afsāna rahe

    ham ko vaa.iz bhī dil rakhnā hai saaqī bhī dil

    ham to tauba kar ke bhī pāband-e-maiḳhāna rahe

    āḳhirash kab tak raheñgī husn nādāniyāñ

    husn se pūchho ki kab tak ishq dīvāna rahe

    faiz-e-rāh-e-ishq hai faiz-e-jazb-e-ishq hai

    ham to manzil ke bhī manzil se begāna rahe

    mai-kade meñ ham du'ā.eñ kar rahe haiñ baar baar

    is taraf bhī chashm-e-mast-e-pīr-e-mai-ḳhāna rahe

    aaj to saaqī se ye 'bahzād' ne bāñdhā hai ahd

    lab pe tauba ho magar hāthoñ meñ paimāna rahe

    hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe

    hai wahi apna ki jo apne se begana rahe

    kufr se ye iltijaen kar raha hun bar bar

    jaun to kaba magar ruKH su-e-mai-KHana rahe

    sham-e-sozan kuchh KHabar bhi hai tujhe o mast-e-gham

    husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwana rahe

    zaKHm-e-dil ai zaKHm-e-dil nasur kyun banta nahin

    lutf to jab hai ki afsane mein afsana rahe

    hum ko waiz ka bhi dil rakhna hai saqi ka bhi dil

    hum to tauba kar ke bhi paband-e-maiKHana rahe

    aaKHirash kab tak rahengi husn ki nadaniyan

    husn se puchho ki kab tak ishq diwana rahe

    faiz-e-rah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai

    hum to manzil pa ke bhi manzil se begana rahe

    mai-kade mein hum du'aen kar rahe hain bar bar

    is taraf bhi chashm-e-mast-e-pir-e-mai-KHana rahe

    aaj to saqi se ye 'bahzad' ne bandha hai ahd

    lab pe tauba ho magar hathon mein paimana rahe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now