hai KHud se KHush-gumani to kisi ka imtihan kyon ho
hai KHud se KHush-gumani to kisi ka imtihan kyon ho
Syed Moinuddin Makhfi
MORE BYSyed Moinuddin Makhfi
hai ḳhud se ḳhush-gumānī to kisī kā imtihāñ kyoñ ho
jahāñ meñ koī bhī 'maḳhfī' kisī se bad-gumāñ kyoñ ho
nazar ko shauq baḳhshā to sarāpā aañkh ho jā.ūñ
kasāfat kī koī chādar hijāb-e-darmiyāñ kyoñ ho
nahīñ jis kā makāñ us kī mohabbat meñ jo uḌtā ho
kahīñ bhī mudda.ā us kā sukūn-e-āshiyāñ kyoñ ho
vafā-e-haq kī aadat yuuñ ho jaise saañs lete ho
razā kī raah ke raahī kā koī rāz-dāñ kyoñ ho
irāde ko qad-āvar kar balā.eñ muñh chhupā.eñgī
rahe phir dhuup kaisī hī to koī sā.ebāñ kyoñ ho
rag-e-jāñ se qarīb us ko karo mahsūs 'maḳhfī' to
kahīñ bhī kyoñ nahīñ miltā ḳhudā to hai kahāñ kyoñ ho
hai KHud se KHush-gumani to kisi ka imtihan kyon ho
jahan mein koi bhi 'maKHfi' kisi se bad-guman kyon ho
nazar ko shauq baKHsha to sarapa aankh ho jaun
kasafat ki koi chadar hijab-e-darmiyan kyon ho
nahin jis ka makan us ki mohabbat mein jo uDta ho
kahin bhi muddaa us ka sukun-e-ashiyan kyon ho
wafa-e-haq ki aadat yun ho jaise sans lete ho
raza ki rah ke rahi ka koi raaz-dan kyon ho
irade ko qad-awar kar balaen munh chhupaengi
rahe phir dhup kaisi hi to koi saeban kyon ho
rag-e-jaan se qarib us ko karo mahsus 'maKHfi' to
kahin bhi kyon nahin milta KHuda to hai kahan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.