Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai KHushi se kis tarah gham ka KHasara dekhiye

Chandrashekhar Pandey Shams

hai KHushi se kis tarah gham ka KHasara dekhiye

Chandrashekhar Pandey Shams

MORE BYChandrashekhar Pandey Shams

    hai ḳhushī se kis tarah ġham ḳhasāra dekhiye

    āsmān-e-yās par ugtā sitārā dekhiye

    aap gar chāheñ to ye jins-e-vafā bhī aam ho

    rishta-e-mub.ham hai ab ik isti.āra dekhiye

    ye hisār-e-ishq bhī hai ik hisār-e-ḳhush-numā

    ḳhud chunā hai gird apne īñT-gārā dekhiye

    thā yaqīn lañgDā udhar aur pyaar andhā thā idhar

    paañv lañgḌe ko milā andhe ko taara dekhiye

    'shams' chhup saktā hai jis ke ik ishāre se agar

    chāñd bhī ho saktā hai phir pāra-pāra dekhiye

    hai KHushi se kis tarah gham ka KHasara dekhiye

    aasman-e-yas par ugta sitara dekhiye

    aap gar chahen to ye jins-e-wafa bhi aam ho

    rishta-e-mubham hai ab ek istiara dekhiye

    ye hisar-e-ishq bhi hai ek hisar-e-KHush-numa

    KHud chuna hai gird apne inT-gara dekhiye

    tha yaqin langDa udhar aur pyar andha tha idhar

    panw langDe ko mila andhe ko tara dekhiye

    'shams' chhup sakta hai jis ke ek ishaare se agar

    chand bhi ho sakta hai phir para-para dekhiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now